Random images from my flickr stream...

www.flickr.com

30/04/05

NeWs @ 12 !!!

my net connection was down.. this post was supposed to be published on April 30, at 0000 hrs... par ka karen.. netwa nai na chal raha hai abhi.. baad mein postwa karenge... starting in english.. and then turned to hinglish... looks like ending up like a PJ... ehehhee... but i enjoyed writing it... lets see how many ppl enjoy reading it too :)

What a day this turned out to be... from not having my boss in the office.. to one very very important meeting not happening...to me attending the entire class of PM... to sending atleast 25 sms' to Bharti and Anshu... to meeting Ajay and Alok... to dropping Waquar and Saba on the train *they were going on their honeymoon*

Ab samachaar vistaar se....

aaj subah hamare sootron se pata chala ke prashant ki boss office nai aa rahi hai... cycle-o-logically aisa hota hai ke boss office mein na ho to employee ko achcha achcha lagta hai.. prashant, jo ki noida ke niwasi hain unhe bhi aisa hi laga.... generally general feeling hoti hai !!!!
phir kuch vishwasniya sootron ne bataya ke ek zarorri cabinet meeting jisme ek aham faisla liya jaana thaa wo nahi ho rahi hai... is baat ko lekar kaafi vidhayako mein asantosh ki sthiti paida ho gayi hai.. shayad ab ye meeting somvaar ko ho :)

ab agli khabar... gaurtalab hai ke... office se late hone ke bawajood.. prashant ghar gaye.. khana khaya aur phir apni class mein pahuch gaye... wo bhi time se.. aisa kabhi nai hua hai... par aaj hua... ye prashant ne kaise kiya... iski exclusive story dekhiye aaj raat 11:30 par theek sasur bhi kabhi damaad the ke 6th repeat telecast ke baad :)

aayie ab aapko le chalte hain sms ki duniya mein.. ek aisa aavishkaar... jiska istemaal karke aap kabhi bhi kahin bhi kisi ko bhi 3-4 line ka sandesh bhej sakte hain... aaj noida ke prashant babu ne "limca book of world records in india only" mein aane ki koshish karte hue karib 25 sms bhej diye... apni do doston ko... anshu aur bharti...anshu unke school ke zamane ki bahut pyaari si dost hain.. aur bharti building banane ka kaam kaise karte hain wo seekh rahi hain.... wo bhi lagta hai kuch dino mein achchi dost ban jayengi... prashant babu ka ek exclusive interview aap pad sakte hain hamare akhbaar... "rozana wahi kabaaad".. oops khabar ke agle hafte ke weekly edition mein...

*Breaking news* abhi abhi pata chala hai... ke prashant ne sms karte karte apne seedhe haath ke angoothe mein chot kha li hai... lagta hai wo ab kaafi dino tak sms nahi kar payenge.. par india cricket team ke physio unke saath hain... unka ilaaj karne ke liye... waise bhi unko koi aur achcha kaam to hai nai...

Karib 3 saal ya shayad 2 saal baad aaj ajay chopra aur alok gupta ki mulakaat prashant bhardwaj se ST Microelectronics ke noida office ke bahar hui... ye teeno dost ek doosre se milkar kaafi khush dikh rahe the... wahan se teeno radha ke saath Cafe Mocha mein gaye jahan par ajay bhai menu card se khud ki hawa karte rahe kyonki unko garmi lag rahi thi.. aur alok, aur prashant ke saath Mocha Shake ka anand bhi uthate rahe.. wahan se un logon ne lavanya naam ke ek dhabe ki taraf prasthaan kiya.. jahan par unhone masta khane ke saath live ghazals ka bhi maza liya....

ab din ki aakhri khabar.... Waquar aur unki patni Saba aaj raat ko Raanikhet express se Pithoragarh ki taraf rawana ho gaye... Prashant babu khud radha ke saath unhe purani dilli railway station chorne gaye the... waquar ki shaadi 27march ko unke hi gaon mein jo banaras ke paas hai bade dhoom dhaam se hui.. aur aaj se unke pehle honeymoon ki shuruwaat bhi ho gayi... aayiye hum sun dua karen ke unki is shaadi se hamare naujawano ko pyaar, ikraar, izhaar, intezaar, wagerah wagerah karne ki seekh mile.. hamari shubhkamnayen waquar bhai ke saath hain...

aur ab mausam ka haal...dilli mein dopahar ko garmi hogi.. aur shaam ko mausam achcha rahega....jahan burf giregi wahan thodi si thund hogi.. aur barish jahan hogi wahan par boondein girne ki sambhavna hai...

hamare news channel... roz wahi kabaad.. oops again... roz wahi khabar par khabron ka silsila zaari rahega... dekhte rahiye....

4 comments:

  1. yeh smachar bahut hee vistaar se sunaaye gaye hain aur bharti jee aapki tareef karna chahati hain. aur vo yeh bhi batana chahati hain ki vo builder nahi ban rahi hain...vo vaastu kala seekh rahi hain...
    aur aakhir mein bharti jee aapko sms sms khelne ka bhi challenge dena chahati hain aur unhe poora yakeen hai ki vo jeet jaayengi. theek ussi tarah jaise ki vo time waste karne mein aapse jeet jaayengi....

    btw...just returned frm vrindavan, without eating all the delicacies u talked abt :( ...n i ve just realized ki unn ghats ka kuch nahi ho sakta...lagta hai aur 6 months lagane parenge thesis mein :(

    ReplyDelete
  2. haaai haaaai
    haaai haaaai
    haaai haaaai
    haaai haaaai

    haaai haaaai
    haaai haaaai

    ye ghatiya pain in the whole body :D news channel band karro

    haaai haaaai
    haaai haaaai

    ye social atrocity nai chalegi

    haaai haaaai
    haaai haaaai

    ReplyDelete
  3. @ Bharti ji : dhanyawad aapki tareef ke liye... galti ke liye kshama chahte hain... aapko bharti the vaastu shastri bulayenge aage se :)... sms sms khelne mein to main kisi se bhi haar sakta hoon.. merese type nai hote :( i think i can use my speech better then my typing skills :) :)

    abt vrindavan ki delicacies... mereko saath lekar chalna next time... me would take care of the eating part.. and you help the ghats out.. theek hai?

    and trust me its going to be good on monday.. i think you have your heart and mind in what you are doing.. and makes me respect you a lot... sach keh raha hoon !!!


    @ Toosh : Bete laal mummy papa aapko ftv nai dekhne dete to aap hamare news channel ko bhi band kara doge... agar aapko pasand nai to mat dekho ;)

    ReplyDelete
  4. bhery difficult prashant... itni sari hinglish padne mein hawa hi nikal jaati hai... lekin aapne apne poore din ka byora bahut hi vistaar se diya hai... Acha laga

    hope u are back in ur jolly moods now... ENJOY

    ReplyDelete